Titliyon ke mausam mein nochna gulabon ka,
daikh ker parindon ko bandhna nisahon ka
reet is nagar ki hai aur
jaane kab se hai ..


tum abhi naey ho na
Aasman ki janib is terha se mat dekho
aaftein jab aani hon tootna sitaron ka,
reet is nagar ki hai
aur jaane kab se hai ..


is sheher ke log to nafraton ko bo ker bhi
intizar karte hain Fasal ho muhabbat ki
chor ker haqeeqat ko dhondna sarabon ka,
reet is nagar ki hai
aur jaane kab se hai ..


ajanbi fizaon mein ajnabi musafir se
apne her taaluq ko daimi samjh lena
aur jab bichar jana, maangna duaaon ka
reet is nagar ki hai aur jaane kab se hai ..




khamshi mera sheva .. guftgu hunar un ka
meri be-gunahi ko log kase maane ge??
baat baat per jab mangna hawalon ka ..
reet is nagar kia hai
aur jaane kab se hai !!