Originally Posted by
R. M. Dixit
Shukriya Janab aapne bahut
bahtareen Thread of songs
pesh ki aur unke alfaaz kuch
ek songs main bahut he pasand
aaye. Derasal saaare to nahin pad
paaye per aapka ye daryadili bahut achhi lagi
Shukriya. Aapki khatir mai ekgaane ki lyrics pesh
kerta hoon gaur phermaayen:
Ye nagma Janab Kishore Kumar
ne film aapki Kasam main gaaya tha
bahut popular hua tha. Evergreen song.
After few days I will present its
vedio recording if allowed by the Moderator:
Jindgi ke safer main gujer
jaate hai jo mukaam
wo phir nahin aate, wo phir nahin aata..
Phool khilte hain log milte hai !!
patjher jo phool murjha jaate hain
wo baharon ke aane se khilte nahin
kuch log ek roj jo bicher jaate hain
wo hazaaron ke aane se milte nahin
umra bher chaahe koi pukara kare unka naam
wo phir nahin aate.....!!
Aankh dhoka hai, kya bharosa hai suno
doston, shak dosti ka dushman hai
apne dil main ise ghar banane na do
kal tarefna pare yaad main jinki
roklo rooth ker unko jaane na do
baad main pyaar ke chaahe bhejo hazaron payaam
wo phir nahin aate....!!
Subeh aati hai raat jaati hai
subeh aati hai raat jaat hai yuon he
waqt chalta he rahta hai rukta nahin
ek pal mai ye aage nikal jaata hai
aadmi theek ye dekh paata nahin
aur perde main manjer badal jaata hai
ek baar chale jaate hai jo din-raat subeh-shaam
wo phir nahin aate, wo phir nahin aate.