wisal-o-hijr mein
ya khuwab se mehroom ankhon mein
ksi ehd-e-rafaqat mein
k tanhai k jungle mein
khayal-e-khal-o-khad ki roshni k gehre badil mein
chamakti dhoop mein ya phr
ksi be-abr saaye mein
kahin barish mein bheegte jism-o-jan k
nasr paron mein
kahin honton mein sheron ki mehekti aabsharon mein
charaghon se saji shamon mein
ya be-noor raton mein
seher ho ronuma jaise kahin baton hi baton mein
koi lipta ho jis tarah
sandal ki khushboo mein
kahin pr titliyon k rang tasweerain banate hain
kahin pr jugnoun ki muthiyon mein roshni
khud ko chupati hy
kahin kesa hi manzar ho
kahin kaisa hi mausam ho
tere sare hawalon ko
teri sari misalon ko
mohabbat yad rakhti hy
mohabbat yad rakhti hy...