KAISA KAMAL RAKHTA HAI
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
Jo Aaj Meri Nahi Hai Woh Kal Meri Hogi ,
Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai ..
Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De
Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai
Tera Khayal Hi Kuch Meherban Hai Verna ,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai