"MERE DIL KI AWAAZ "
Dunya bohat taiz raftari sey chal rahi hai... samjh nahi aata k ye kis taraf hamen ley jaa rahi hai aur insaniyat ka ye alam hai k dunyavi khuwahishat ki taraf douri chali jaa rahi hai.... wo log jo dunya ko he sub kuch samjhtey hai aur isi main apni khoshi talashtey hain kya wo log is baat sey bey khabar hain k ye dunya aarzi hai..?? kya unhey agli zindagi ki kuch fiker nahi jahan jaa ker unhey apney KHALIQ-E-HAQEEQI ko apni zindagi k aik aik pal ka hisab daina hoga..???
samjh nahi aata k kyun dunyavi khuwahishat itni aham ho chali hain k insan apni aakhirat bhula baitha hai...?? is zameen par akar kar chalney waley log kya zameen key azaab sey aashna nahi..?? Mooj masti main apni zindagi basar karney waley log kya azab-e-qabaar k liye tayar hain..??? Aur wo log jo har waqt hanstey rehtey hain kya unhey apna dil murda honey ki fiker nahi..?? ye sub kya hai aur kyun hai aur in sub ka zimmadar kon hai...?? kya pori insaniyat zimmadar hai ..???
Aur wo log jo bohat namazi aur parhezgaar hai magar un sey mil kar intehai afsos hota hai k Allah k qareeb honey k bawajod bhi in logon k dilon main kitni kadurat hai.. Kya ye log Allah key bandey kehlaney k laiq hain..???
Kis taraf ley jaa rahi hai hamen ye zindagi..?? kisi ko kuch khabar nahi aur hum aankhen band kiye pechey pechey chaltey jaarahey hain.. Kya Us Parwardigar ney hamen aqal-o-sha'or sey nahi nawaza..?? Ya phir dunyavi mafadat dekh kar hum ney jaan bojh kar apni aankhen mond li hain aur "Jo hoga dekha jaye ga " jesey aam jumley bol kar apney Qalb ko jhoti tassaliyan detey hain...
Aik din khenchey ga Allah apni rassi aur tub in logon ko aqal aayegi jub na ye dunya hath main rahey gi aur na aakhirat... Tub samjhey gi pori insaniyat k zindagi ki haqeeqat kya hai magar tub tak shayad bohat dair hochuki hogi... bohat afsos hota hai.. dil jalta hai ye sub dekh kar magar apni bebasi par siwaye jalney aur in jesey behis aur andhey logon k liye dua karney k elawa koi rah sujhai nahi deti..
ALLAH SUB KO SEEDHI RAH PAR CHALNEY KI TOUFEEQ AATA FARMAYE
AMEEN
(NOSH)