FAQAT TUM SEY MOHABBAT HE TOU KI THI
q jalte hue sehra mai muje chor gae??
Assalam o Alaikum
To
All SD Memberz
Umeed hai aap sub khariyat sey hongey
Jee mere pyare pyare SD frnds .. jesa k aap sub jaantey hain k Main aik shaira hun Ziyada achi shaira tou nahi but phir bhi thora bohat likh he leti hun aur chahti hun k hamarey SD k baki memberz bhi ye koshish karen ta k is thread k zariye Sachii DOsti ko kuch achey aur behtareen shura mil saken
Aaj main yahan mojod hun Ap sub ko shairi sikhaney leken ye tabhi mumkin hosakta hai jub aap sub memberz is thread main interest lain n dil sey participate karen Insha'Allah ye thread apke ander mojod huner ko zaror nikharey ga
Now kum tou da point.. yahan karna ye hai k aik original shair ka pehla misra diya jaye ga n aaney waley member ko dosra misra apni taraf sey bana kar shair ko complete karna hai n next member k liye kisi original shair ka pehla misra chor jana hai
For example Aik original shair hai
ZINDAGI JUB BHI KISI SHAY KI TALAB KARTI HAI
MERE HONTON PE TERA NAAM MACHAL JATA HAI
Now main is shair ka pehla misra doni like
ZINDAGI JUB BHI KISI SHAY KI TALAB KARTI HAI
Aur iska second misra apni taraf sey banana hoga next member ko bus thori si koshish darkaar hoti hai.. misra toota phoota bhi huwa tou chaley ga kyun k isi sey agey chal kar apki islah hogi
Now em completing that for eg
ZINDAGI JUB BHI KISI SHAY KI TALAB KARTI HAI
Tu he aa jata hai mere hasee'n khayalon main
Jee tou umeed hai k aap log samjh gaye hongey k yahan kya karna hai..
N plzz No Hesitation at all pehla misra parh kar jo khayal zehan main aata hai usko tarteeb deker dosra misra likh dijiye
NOTE: Shair complete karney k bad next misra dena na bholiye.. n next misra apni taraf ka nahi hona chahiye bal k kisey original shair ka hona chahiye
Misra Mulahiza Farmaiye n apna huner dikha kar complete kijiye
FAQAT TUM SEY MOHABBAT HE TOU KI THI
Charming Doxt
Cute Ruba
Behtar yehi hai zikr e mohabat na cherye
Is Lafz sey apney hazarun zakhm hain jurey
next
Dil lagi dil ki lagi khail hai zamaney ka
WALEKUM ASLAAM,
thread ka title " shairy seekheiN " dekha to khushi huyi ke shaaid hameiN bhi kuch seekhney ko mil jaaye,lekin yahaaN to taba aazmaayi ki da.awat di ja rahi hai,
kheir.......salaamat rahiye.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
i was excited as sir Zain
jo loug shyri kerna chahein woh taba azmaye ker sakte hein.
lekin shayri ko sahi likhe aur khne ke rules to seekhe ja sakte hein, waise shayri nahi seekhi jaati
Dil lagi dil ki lagi khail hai zamaney ka
tum kiya jano yeh khail hai sataanay ka
gar siyah bakhat hi hona tha naseebon ne merey
?
gar siyah bakht he hona tha naseebon nay mery,
to kiya zarori tha k main teray shehar main jeeta!!
Last edited by cute parsa; 27-04-2012 at 09:00 AM.