nyc
ye ghazala parrh kr aik baat to tay hoage hay kay aap kay andar aik bahtreen shaair mojood hay,sher ka bahtreen ridham mojood hay...
ghazal boht umda kahi hay,,,agarchay ghazal men kae aik baywazn misray mojood hain magar jo misray wazn men hain wo boht khoob boht rawan dawan hain.... baywazn misroon ki nishandahi krdayta hon
Raha na dill pey ikhtiyaar kya kiya jaye...???
Bahey aankhon sey aabshaar kya kiya jaye...???
Mera jevan hai taar taar kya kiya jaye...???
Kya kiya jaye k jub din bhi saal lagta ho..???
Haye ye waqt ki raftaar kya kiya jaye...???
mundarja baala misray baywazn hain...inhen dobara dekhiye.... aik wazaahat krta chalon kay ikhtiyaar,aabshaar,taar taar kay qaafiye is zameen kay wazn men kabhi bhi nahi aasaktay ,albatta raftaar ka qafiya aajaaiy ga,,,yehaan kirdaar,ik baar,dastaar,baykaar,gulzaar, jesay qwaafi ky saath hi misra wazn men likha jasakta hy,jesa ky aap ny deewaar,yaar,ky qafiye men ashaar sahi kahay hain,,aap urroz say bilkul waqif nahi hain us ky bawajood itnay umda sher kahna boht barri baat hay,aap aik jenion sha,ira hain,asaatiza say islaah lain,mujhay umeed hay urdu adab men aik achi sha,ira ka izaafa hojaiy ga
khush rahen salamat rahen
Last edited by dreamer; 03-05-2012 at 01:51 PM.
nyc
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§