Aankh khulti hai tou bohat dair ho chuki hoti hai.. aur aisa he hota hai.. basa auqaat insan ki aankh khulney main bohat dair lag jati hai aur us zara si dairi main sari umer beet jaati hai aur haath main siwaye ruswai aur barbadi k kuch nahi aata..
wo aankhen jin main umeed aur khuwab huwa kartey they wo aankhen jaisey pathar ki ho jati hai aur un aankhon ko pathar bananey wala shakhs bhi koi bohat he apna hota hai. wo kehtey hain na k bhala ghairon ko kya pata k kis baat sey dard hota hai.. dard tou wohi daina jantey hain jinhey bohat apna samjha jata hai..
Dhoka.. faraib.. dikhawa jaisey hamari rag rag main samaya huwa hai.. Bazahir bohat he mohazzib aur khush ikhlaaq nazar aaney waley log ander sey kis qadar burai ka shikaar hotey hain.. phir jis insan k zaahir aur baatin main itna tazaad ho wo insan kehlaney k laiq he kahan reh jata hai.. jo insan apni zaat main itni munafiqat liye phirta hai.. wo khud ka... apne mulk ka ya kisi aur ka kya ho sakta hai .. Magar hamari kamzori he yahi hai k hum haqeeqat ka samna nahi karna chahtey..hum taa hayat apni aankhen band rakhna chahtey hain kyun k sachai itni talkh hai k hum shayad aap apni nazron main girr jain aur phir kabhi zindagi bhar apna saamna na kar payen..bus yahi waja hai k hum sachai sey munn phairey aik tafreehi zindagi jee rahey hain aur us tafreehi zindagi main hum kisi ka kya nuqsan kar jaatey hain ye khabar he nahi hoti ..
Allah Paak is mulk-o-qoum k har bandey ko hidayat dey. Ameen
(Nosh) Ruba