Na Ranj-o-Gham main Dori thi na Khushion k Lamhat ALAG,
Na Dhoop Alag na Chaon Juda na Sawan na Barsat ALAG.
Furqat main yun Aahen Bharna Mana he Jeete jee Marna,
Go Wasl bhi khoob Sohana he per Hijr ki he kuch Bat ALAG.
Wo jab bhi Mere Pas aaya Zakhmon ka Naya Tuhfa laya,
Jese wo Khud bhi Yakta he Wese uski Soghat ALAG.
Barati NohaKhan hain or Dulhan Hasrat Nakami ki,
Aashiq Pehne Bosida Kafan le chalta he Barat Alag.
Jin Logon ne Din bhar Meri Chat k nichey Aaram kia,
Jab Dhood Dhali Soraj Dooba wo ho gae HathonHath ALAG.
Yon to Dunya k Jhanjhat main her Pal Guzra Nakara sa,
Jo Yaad main uski Beet gaey BeShak wo hain Lamhat ALAG.
PurSoz Tarano ki Khatir Lazim he Qalb-e-Afsurda,
Jab Tar-e-Dil pe *** lage to Bajte hain Naghmat ALAG.
Sab main Bethey Bethey Khona, khud hi Hanstey Hanstey Rona,
Takleef-o-Dukh main Khush hona Ashiq ki hain Aadaat ALAG.
Bethey Bethey Aankhen Malna, Chalte Chalte Rukna Chalna,
Manind Parwane k Jalna Ashiq ki hain Aadaat ALAG.
Chup Chup ker Ashk-e-Gham Pina, Ghut Ghut k Mar Mar ker Jeena,
Zakhm-e-Dil Ashkon se Seena Ashiq ki hain Aadaat ALAG.
Go Tujh ko ANAS main pa na saka Qismat se nahi koi Shikwa,
Thi sari Bat Lakeeron ki Tere Hath ALAG Mere Hath ALAG.