eilahi teri makhloq ka ujab ik tamasha dekha
chhalaktay jaam dekhay samandron ko piyasa dekha
ye kiya majra hay apni to samajh mein nahi aya
admi apni hi justju mein ulajhta dekha
jin k haath thay khali wo masrof e zikr dekhay
haathon mein liy tasbi e anmol waaiz ko behakta dekha
alhamd u lillah ka matlab to samajh mein aya
siraat e mustaqim k matlab pay logon ko jhagharta dekha
eiman bachitay huay aadam k baity dekhay
havaa ke baiti ko sar e bazar bikta dekha
kasiy duniya k makr o fraib se samjhota kr loon
k in aankhon ne kitne jalte diyon ko bujhta dekha
think about that