"Maa or Khuda wo hastiyan hain jin ki mouhabbat rehamat or shafqat bay hisab hoti hay
is duniya may Allah Tala kay aehakamat ki rz na farmani hoti hay
log is ki zaat manay say inkari hotay hain
magar kya woh inhay rozi daina band kar deta hay?
nahi na!kya aanaj ka qehat par jata na?nahi na!
woh apnay na farman bandon ko bhi rizq deta hay
Khuda jub bhi ksi baat ko wahzay karna chata hay
woh intehani khubsurat tashbeehat ka istemal karta karta hay
Quran may jannat wa jahanum Azab wa sawab har shay ko misaal day kar wahzay kiya gaya hay
magar jub baaat ati hay Bani Noh Insan say mouhabbat wahzay karnay ki woh foran kehata hay may 70 maon say zaida mouhabbat karnay wala hon
Allah ksi or ki misal deta shahor ki mouhabbat bhai ki mouhabbat behan ki mouhabbat bewi ki mouhabbat doston qarabat daron ki mouhabbat say apna mawazna karta magar nahi is nay maa ki misal di kun kay duniya may sub say zaida bay gurz bay loss or qable aitebar mouhabbat Maa ki hay"
"Saans Sakin Thi" By Nimra Ahmed