" Insaan jiss se sabse ziada mohabbat kerta hai. ALLAH usey usi ka hathun se torta hai.. Insaan ko us tootey hoey bartan ki tarah hona chahye, jis se logun ki Mohabbat aaey or baher nikal jae."
an excerpt from:" Mus'haf مصØ+Ù "
Nimra Ahmed K Iqtibas Share Karney Hain..
Rules:
Last Date 21 May 2012
Aik Jaise Sharing Na Ho..
50 % Polling HOgi..
or 50 % Admin Decide Karey Gai..
" Insaan jiss se sabse ziada mohabbat kerta hai. ALLAH usey usi ka hathun se torta hai.. Insaan ko us tootey hoey bartan ki tarah hona chahye, jis se logun ki Mohabbat aaey or baher nikal jae."
an excerpt from:" Mus'haf مصØ+Ù "
"Nimra Ahmed" kay novel"Beli Rajpootan Ki Malka"say
Jub ksi say mouhabbat ki jati hay to dil may aik qabristan bhi banaya jata hay is may apnay mehboob ki tamam khamiyan dafan kar di jati han or phir un kay kutbay nahi lagaye jatay.
Mohabbat qudrat ki taraf wadiyat hoti hai. Jis ko aap sey mohabbat nahi hai'aap chand taray bhi tor laen to wo aap sey mohabbat kar hi nahi sakay ga.
ksi bhi insaan kay peechay pagal honay sey sirf apna nuqsan hota hai. Isi tarha jo log intaqam ki aag main jaltay hain.Wo badla lenay kay bad bhi khushi hasil nahi karsaktay. Intaqam to ksi doosray ki barbadi hota hai' yeh bhala ksi ko kkhushi kaisay dey sakta hai?
(Sans Sakin Thi......Nimra Ahmed)
sabh buht umda
Ya Allah! Mai Aapki Bandi hun or Aapke bande ki Beti hun or Apki Bandi ki beti hun. Meri Peshani Aapke Qabu mai hai, mere Haq mai aapka hukum jari hai,Aapka faisla mere bare mai Insaaf per Mubni hai. Mai aapse sawal kerti hun Aapke her us naam k waastey se jo aapne apne liye pasand kiya ya apni kitaab mai utara , ya apni makhlooq mai se kisi ko sikhaya ya apne Ilme Ghaib mai se aapne usko ikhtiyaar ker rakha hai, is baat ko k aap Quran Azeem ko Mere Dil ki Bahaar or meri Aankhun ka Noor bnadain or Mere Fiker or Ghum ko le jane ka Zarya Banadain "
Mashaf by Nimra Ahmed, July- 2011- Khawateen Digest)
"Or bhalai or burai baraber nahi hosakteen so (burai ko) is tariqe se door karo jo behtareen ho , phir daftan vo shaks jiske or tumhare darmiyan adawat hai yun hojaega goya tumhara Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ho"
usne uchambhe se in Ayaat ko dekha' kya ab bhi koi umeed thi k vo shakhs uska Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ban sakta hai?
Aur ye kitaab.. ye aapko aapka Mazi, haal or mustaqbil kese dikhati hai ?"
" Isme sab likha hai, guzre vaqiat aur vo jo mere sath pesh aney wala hai aur mujhe aese mouqey pe kiya kerna hai sab likha hai "
Mehmal ka dil zor se dharka. vo siyah faam larki usey buht ajeeb baat bta rahi thi.
.
.
" uske baad tum is kitaab ko chor nhi sakti, tumhe apni zindagi is se bandh ker hi guzarni hogi."
" aur ager mai isey chor dun to ? "
"To tum tabah hojaogi, tumhari her cheez, her muhabbat, sab tabah hojaega, isko leker tum chor nhi sakteen . ye sab itna asaan nahi
Mus'haf مصØ+Ù by Nimra Ahmed
Khawateen Digest- 2011-August
Hum kya hain
Hmari Muhabatayn kya hain
kya chahtay hain
kya patay hain..
-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)