Assalam-o-Alaikum
Ek aisi tehreer jis mai'n shayed kisi na kisi jagha
hum khud apni aks daikh sakai'n
Sharmsar
Kabhi aisa bhi hota hey k koi baat jo bazahir hamai’n us waqt bari mehsoos nahi’n hoti aisi dil-o-dimagh se chupak si jati hey k lakh us se dimagh ko hatana chahai’n zehen se nikalti hi nahi’n aur ek bari yad ban jati hey, aisi yad k jiska pachhtawa jub us ki yad aati hey tu wo rooh ko ghail or zameer ko sherminda ker daiti hey,apni aisi hi ek talkh yad mai’n mai’n aap ko shreek ker raha hoon main apney gher se khuch zarori kharidari kerney k liye nikla tha us waqt main National Stadium k samney waqiey brey brey stores k samney tha wo ek traf footpath pe khri thi jub us ney mujhey pukara “aap mairi baat sunain ge main us ki janib mutawajhey huwa wo kehney lagi mujhey apne bachey k liye dawa kharidni hey kia aap mujhey 200 rupey de saktey hai’n wo bazahir mangne wali mehsoos na hoti thi kaprey bhi saf suthrey pehney hui thi, ek lamhey ko mujhey us sey humderdi mehsoos hui mager phir dosrey hi lamhey main un logoon ki saf main khra ho chukka tha jo apney oper hazaroo’n rupey kharch ker saktey hai’n ek ek waqt k khaney per hazaroo’n rupey kherch ker saktey hai’n jo jub kharidari k liye nikaltey hai’n tu behtreen se kam kisi cheez pe nigha hi nahi’n thairti jinhai’n ye maloom nahi’n hota k unkey wardrop mai’n kitney kaprey hai’n phir bhi her naye ocassion k liye ek naya dress chahiye hota hey mager chaend soo rupey se kisi ki maded nahi ker saktey jinhai’n her maded k liye pukarney wala faqeer aur paishawer bhikari hi nazer aata hey jo mehnga tareen jota pair mai’n pehntey hai’n aur kisi nangey pair phirney waley k pair mai’n chubhney waley kenker ki takhlief mehsoos nahi’n kersaktey, jinhai’n kisi ki bhook se koi serokar nahi’n hota aur jo apni dunyavi kamyabiyoo’n k nashey mai’n choor her ghareeb ko hiqaret ki nigha se daikhtey hai’n jo kisi ki maded bhi kertey hai’n tu kisi photo session k bina nahi’n kertey aur us ki tash’heer ki zaroret mehsoos kertey hai’n kyoo’n k hum ye samajhtey hain k jo hum ne kamaya us pe sirf hamara haq hey mager ye ek haqiqet hey k aakhiret main buhat se log sirf is sawal pe pakrey jai’n gey k halal kamai kahan kharch ki,tu mai’n bhi tu isi muashrey ka ek his’sa hi hoo’n tu mai’n us aurat ko muaf kro keh k aagey brh gaya main ne ek lamhey k liye bhi ye na socha k wo waqi zaroret mand ho sakti hey aur kia maloom waqi uska bacha bimaar ho aur ager aisa hey tu us ne maded k liye hath phailatey huwey kaisey apni zakhmi rooh ko kuchala hoga kis terha apni ana k ser pey pair rakh ker maded k liye pukara hoga wo nahi’n chahti hogi laikin apney derd se treptey bachey ki khatir us ney apni izzat-e-nafs ko kuchla hoga hath phelaya hoga apne bachey ki muhabbet main k us ney bhi na janey kitney sapney apney bachey k hawaley se apni aankhoo’n mai’n saja rakhey hoo’n gey mager ye sub bati’n aaj k is nafsa nafsi k dour mai’n be mani hai’n hamari nigha itni kamzor ho chuki hey k apni zaat k hisar se bahir kuch nazer hi nahi’n aata, aur phir thori dair k baad jub main medical store se kuch medicine khreed raha tha main ne usey wahan daikha wo store waley se keh rahi thi k doctor ne jo dawa likhi hey us ki qimet 215 rupey hey or mairey pas sirf 15 rupey hain is main drd ki jo bhi goli aaye wo dey do or store waley ne do tablets us k hath main rakhdin or main apni hi nazroon main gir gaya k main ne ek zaroret mend maa ko faqeerni samjha main ne aagey brh k usey paisey daina chhey mager us ne ye keh ker mana ker diya k wo faqeer nahi’n shayed wo us kamzor lamhey se nikal aai thi jis lamhey mai’n apney bachey ki muhabbet mai’n us ney hath phailaya tha phir wo na jane kis taraf chali gai mai’n wahi’n ka wahi’n ser jhukaye khara reh gaya k Allah ne mujhey moqa diya mager mai’n na shukra nikla naiki na kama saka k Allah Ghafor-o-Raheem hamai’n bahaney bahaney se naikiyaa’n kamaney ka mouqa daita hey laikin ye hum na shukrey hotey hai’n jo us mouqey ko ganwa daitey hai’n aaj bhi mujhey is waqey ki yad aati hey tu Allah k hazoor jhuk jata hoon k main aaj bhi sharmsar hoo’n k waqt per ek maa ki mamta ki maded na ker saka aur koshish kerta hoo’n k kisi ki maded ka koi mouqa hath se na janey doo’n k na janey kis maa, bap ya bhai ney kis takhlief mai’n pukara ho, laikin aaj bhi jub us waqey ki yad aati hey tu main apni rooh ko zakhmi pata hoon,Allah hum sub per reham fermaye aur apni aman mai’n rakhey,Ameen .