" Khota Sikka "




Ghazni Me Rehne Wale Ek Buzurg Hazrath Usmaan Ne Gareeb Aabadi Ke Halath Bayan Karte Hue Farmaya Ki Woh Sabzi Becha Karte The inka Haal Ye Tha Ki Agar Koi Shaqs Khota Sikka Le Kar Aap Ke Paas Aata Toh Woh Sabzi Dene Se Inkaar Naa Karte Wahi Sikka Apne Paas Rakh Lete Aur Sabzi De Diya Karte.

Iss Aadat Ki Wajhe Se Bohut Se Log Yeh Gumaan Karne Lage The Ki Unhe Khare Aur Khote Ki Pechan Hi Nahi Hai.

Laikin Ye Baat Nahi Thi.

Jab Aapke Inteqaal Ka Waqt Aaya Toh Aasmaan Ki Taraf Munh Karke Farmaya…..

“Aaye Mere Malik Tu Aagah Hai Ki Mein Logoun Ke Khote Sikke Daanista Qabool Kar Liya Karta Tha…… Tu Bhi Mere Khote Aamaal Apni Qaas Inayat Se Qabool Farma…”

Ameeen Allah Talah Humare Saare Gunah Ko Maaf Farmaye aur seedhe Raaste Par chalaye....