actually jo aap ne Maida ghoondhney ko kaha ha na
agar us ko hum is tarikey se krein k
blender mein maida anda namak kaali mirch daal kar hasb e zarurt milk daal kar us ko achhey se blend kr lein itna patla ho k eik dhaar baney .. us k baad usey pan mein zra sa oil daal kar spoon se usk uper is paste ko phhaila lein or gol gol rotiyan bna lein to woh bht narm b banti hain or patli b banti hain
is k baad jo filling aap ne btai hai woh fill kr k andey se usko jor lein phr fry kr lein
ya phr andey or bread crumbs mein dip kr k fry krein to us se b bht achhey bantey hain ...
aapki recipe bht zaberdasst ha
main ne is tarikey se b try ki hai so is waja se aap sab se b share kr liya
Hmm gud method jis ko aisay easy lagta hai woh aisay lar lay
Asal main pakistan main sab aata gondhtay hain blend koi nahi karta isi liey
Hum bahar rehnay walon k liey blender bhi sahi hai