Dost ban kar bhi
nahi saath nibhane
wala,
wahi andaaz hai
zaalim ka zamaane
wala
.
ab usse log samajhte
hain giraftaar mera,
sakht naadim hai
mujhe daam mein
laane wala
.
"kya kahein kitne
maraasam they hamare usse,
woh jo ek shakhs hai
muhn pher ke jaane
wala"
.
"tere hote huye aa
jaati thi sahi dunya,
aaj tanha hoon to koi
nahi aane wala"
.
muntazir kis ka hoon
tooti huyi dehleez pe
mein,
kon aayega yahan
kon hai aane wala
.
Humne dekha hai baharon mein chaman ko jaltey,
hai koi khwaab ki tabeer bataane wala
.
tum takalluf ko bhi
ikhlaas samajhte ho
Faraaz,
dost hota nahi har haath milaane wala....