MAA AUR BAAP
Rahem kar walidain par ya Allah is tarah
Karte the raham bachpan mein woh mujh par jis tarah
Sone na diya unhone kabhi bhoka mujhe
Hamesha buri sohbat se roka mujhe
Rahe marte dam tak yeh saath is tarah
Hota hai saath dil ka dhakran se jis tarah
Jisne saya budhe walidain ka paya
Lekin bojh samaj kar unko thukraya
Badnaseem hai woh is tarah
Phasa ho beech bhawar mein jis tarah
Chahe takleef ho ya gum usko sahoo
Walidain ko magar uff tak na kahoo
Hogi nahi duniya mein koi hasti is tarah
Muqam walidain ka hai jis tarah
Duniya mein nahi MAA ka koi naam-o-badal
Kidmat unki karte rahoo har pal
Bana MAA ke hai yeh duniya is tarah
Chah jaye har soo andehra jis tarah
Yousef walidain ko kabhi rulana nahi
Unki kisi khawaish ko thukrana nahi
Karte raho unki kidmat iss tarah
Sikhaya hai Rasool Allah ne jis tarah