Kyuon tabiiat kahiin thaharti nahin
dosti to udaas kartii nahin.
Ham hameshaa ke sair-chashm sahi
tujh ko dekhen to aankh bharti nahin.
Shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah
kat to jaati hai par guzarti nahin.
Ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyon se marti nahin.
Jis tarah tum guzaarte ho naaz se
zindagi us tarah guzarti nahin.