chaloo ab faisla karlo...
k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to yeh jana
mohabat yon nahe hoti
jo mai nai khuwab dekhay thay
ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray
tumhara hum qadam rehna
mujhy mumkin nahe lagta
tumharay or meray darmiyan
koi dewar hai shayad
YEH hargiz gir nahin sakti
tumhain woh log pyary hain
jo mujhy ko zahar latgy hain
mujhy tum ab bhi pyaray ho
mager ab moor aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata ho ga
mukhalif simt chalnay say
kabhi manzil nahin milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo .....