chalo kuch dair hastay hain
mohabbat par innayyyat par,
k yeh be bunyad batain hain
sabhi rishtay,sabhi naatay,
zarurat ki hain ejaadain,
kahin koi nahin marta,
kisi k wastay janaan,
k sab hai phair lafzon ka,
hai sara khail harfon ka,
na hai mehboob koi bhi
sabhi jumlaay se kastay hain
CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN,
usi ko yad kartay hain,
jissay hum zeest kehtay hain
k sans lena bin jis k
hamain ik jurm lagta tha,
k sung jis k har lamha,
khush o khurram sa lagta tha,
jissay hum zindagi kehtay ,
jissay hum shairi kehtay
ghazal ka qaafia tha jo
nazam ka jo unwaan tha
woh lehja jab badlta tha
qayamat khiaz lagta tha
waqt se aagay chalta tha
balaa ka taiz lagta tha
jo saya ban k rehta tha
JUDA AB US K RASTAY HAIN
CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN!!
CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN!!~