Mujhe tere derd ke alawa
bhi aur dukh the yeh maanta hoon
hazaar gam the jo zindgi ki
talaash main the yeh jaanta hoon
mujhe khaber thi ki tere aanchal
main derd ki ret chaanta hoon
mager her ek baar tujhko chooker
ye ret range - hina bani hai
ye zakhm gulzaar bangaye hain
ye aahen - sozaan ghataa bani hain
Ye derd moze - sabaa bani hai
ye aag dil ki sada bani hai
aur ab ye saari mataaye-hasti
yeh phool yeh zalhm sab tere hain
yeh dukh ke nohe yeh sukh ke nagme
kal jo mere the wo ab tere hain
jo teri kurbat teri judaayi
main kat gaye rozo-shab tere hain