walaikumusalam
done
Asalam u ALiakum
is bar competition mei Qateel shifai ki Ghazals share karni thi....ye rahi sab ki sharings..
jis ko jis ki acchi lage us ko Vote de..
last date 28th May hai..
ik baat wo ye k Winner decide karne k liye ap k votes 50% tak ki ehmiyat rakhte hain baqi 50% Adminz(Naz,Sheem) decide Karein gay..
..........................................
Maliha farhan
Yeh maojza bhi kabhi mohabbat dikhaye mujhay
Kay sang tujh pay giray aur zakham aaye mujhay
Woh mera dost hai saray jahan ko hai maloom
Dagha karay woh ksi sey to sharm aaye mujhay
Woh meharban hai to iqrar kion nahi karta
Woh bad guman hai to so bar aazmaye mujhay
Wohi to sab sey ziyada hai nukta cheen mera
Jo muskra kar hamesha galay lagaye mujhay
Ba rang ood milay gi osay meri khushboo
Woh jab bhi chahay baray shok sey jalaye mujhay
Main apni zaat main neelam ho raha hon Qateel
Gham-e-hayat sey keh do khareed laye mujhay
..........................................
Seven tiles
Wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
Main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kareRahega sath tera pyar zindagi bankar
Ye aur baat meri zindagi wafa na kareYe thik hai nahin marta koi judai meinKhuda kisi se kisi ko magar juda na kareSuna hai usko mohabbat duayen deti haiZamana dekh chuka hai parakh chuka hai
Jo dil pe chot to khaye magar gila na kare
Bujha diya hay naseebon nay meray piyar ka chand
Koi diya meri palkon pay ab jala na karay
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare
..........................................
Unsaid words
..........................................
~Qaid-e-tanhayi~
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko
mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko
main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko
tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko
kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko
khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko
main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko
main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko
bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko
..........................................
Vampire
apne honton par sajana chahta hun
a tujhe main gungunana chahta hun
koi ansu tere daman par gira kar
boond ko moti banana chahta hun
thak gaya main karte-karte yad tujhko
ab tujhe main yad ana chahta hun
cha raha hai sari basti mein andhera
raushani ho ghar jalana chahta hun
akhri hichki tere zanon pe aye
maut bhi main shayrana chahta hun
..........................................
jam786
جسم کے جزیرے میں ، یہ جو دل کی وادی ہے
اس پہ راج ہے جس کا، تو وہ شہزادی ہے
اپنے در پہ سجدوں کی راہ دکھا دی ہے
تو نے میرے ماتھے پر زندگی سجا دی ہے
تجھ کو بھولنا چاہوں ، اور شکست کھا جائوں
کتنی بے وقار اپنی قوت ارادی ہے
جستجو کے صحرا میں اب کہاں کوئی آنچل؟
میں نے اپنی چھائوں بھی دھوپ میں گنوا دی ہے
یاد کر اے تاج، کبھی تو بھی اس محبت کو
جس نے تیرے مر مر کو چاندی پلا دی ہے
میرا ساتھ کیا دے گا شیخ بر سرِ محفل؟
وہ تو چھپ کے بے چارہ جھومنے کا عادی ہے
دوست سب قتیلؔ اپنے تو گئے رقابت پر
میں نے کوئی دل کی بات جب انھیں سنا دی ہے
..........................................
Hijaab
..........................................
sadaf
..........................................
Zindagi
Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main
Hum Nay Khush Hokay Bhanvaar Bandh Liye Paaon Main
Un Ko Bhi Hai Kisi Bheegay Huay Manzar Kii Talaash
Boondh Tak Bo Na Sakay Jo Kabhi Saharaoon Main
Ai Mere HumSafaroon Tum Bhi ThakayHaaray Ho
Dhoop Kii Tum To Milavat Na Karo Chaaon Main
Jo Bhi Aata Hai Bataata Hai Nayaa Koi Ilaaj
Bat Na Jaye Teraa Bimaar Maseehaaon Main
Hauslaa Kis Main Hai Yusuf Kii Kharidaari Kaa
Aab To Mehngaaii Kay Charchay Hain Zulaikhaaon Main
Jis Barahman Nay Kaha hai Kay Ye Saal Acha Hai
Us Ko Dafnaon Meray haath Kii Rekhaaon Main
Who Khudaa Hai Kisi Tootay Huay Dil Main Hogaa
Masjidoon Main Usay Dhoondho Na Kaliisaaon Main
Hum Ko Aapas Main Muhabbat Nahin Karnay Detay
Ik Yehi Aiib Hai Is Shehr Kay Daanaon main
Mujh Say Kartay Hain 'Qateel' Is Liye Kuch Log Hasad
Kyon Mere Shehr Hain Maqbool Haseenaon Main
..........................................
Paras
جب بھی چاہیں+اک نئی صورت بنا لیتے ہیں لوگ
ایک چہرے پر کئی چہرے سجا لیتے ہیں+ لوگ
مل بھی لیتے ہیں+گلے وہ اپنے مطلب کے لئے
آپڑے مشکل تو نظریں+بھی چرالیتے ہیں+لوگ
خود فریبی کی انہیں+عادت سی شاید پڑگئی ہے
ہر نئے رہزن کو سینے سےلگا لیتے ہیں لوگ
ہے بجا ان کی شکایت لیکن اس کاکیا علاج ؟
بجلیاں خود اپنے گلشن پر گرالیتے ہیں لوگ
ہو خوشی بھی ان کو حاصل یہ ضروری تو نہیں
غم چھپانے کےلئے بھی مسکرالیتے ہیں+لوگ
یہ بھی دیکھا ہےکہ جب آجائے غیر ت کا مقام
اپی سولی اپنے کاندھے پر اٹھا لیتے ہیں لوگ
روشنی ہے ان کاایماں روک مت ان کا قتیل
دل چلاتے ہیں+یہ اپنا تیر ا کیا لیتے ہیں لوگ
..........................................
sweet.kiran
..........................................
Raniii
Kab talak shama’ jali, yaad naheeN
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN
Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN
Kat gayi umr kisi tarh’ “Qateel”
Woh buri thee k bhali yaad naheeN
..........................................
Aahmedkhan
..........................................
neer2moon
دنیا سے نہ گھبرائیں گے اس نے یہ کہا تھا
ہم پیار کئے جائیں گے اس نے یہ کہا تھا
کانٹے جو دکھائیں گے ذرا سی بھی عداوت
ہم پھول نظر آئیں گے اس نے یہ کہا تھا
روکے گا ہمالہ بھی اگر راہ ہماری
ہم اس کو بھی ٹھکرائیں گے اس نے یہ کہا تھا
حالات بدلتے ہوئے لگتی نہیں کچھ دیر
حالات بدل جائیں گے اس نے یہ کہا تھا
ہم آدم و حوا ہیں نہ راس آی جو دنیا
جب کو پلٹ جائیں گے اس نے یہ کہا تھا
ہر لمحہ محبت کا حیات ابدی ہے
مر کر بھی نہ مر پائیں گے اس نے یہ کہا تھا
میں میں ہی قتیل آپ کے سائے میں رہوں گی
آپ آپ ہی کہلائیں گے اس نے یہ کہا تھا
..........................................
salmanejaz
Dard se meraa daaman bhar de yaa Allah
Phir chaahe diivanaa kar de yaa AllahMai ne tujh se chaand sitare kab mange
Raushan dil bedaar nazar de yaa AllahSuraj sii ik cheez to ham sab dekh chuke
Sach much kii ab koii sahar de yaa AllahYe Dil ke zakhmon par maraham rakh de
Yaa meraa dil patthar kar de yaa Allah
........................................................
Last edited by SenoriTa; 21-05-2012 at 03:42 PM.
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
walaikumusalam
done
voted
voted...
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
voted
Walaikum Assalam
voted
WALAIKUM ASSALAM
VOTEd ...
Hum kya hain
Hmari Muhabatayn kya hain
kya chahtay hain
kya patay hain..
-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)