comp main 9 members ne part lya ..ab polling ka waqt aagaya hia is maah hum ne polling karne ka socha 50% polling or 50% Admins ki raye se winner decide hoga ...
Rules :
Apni sharing ko vote nahi cast karsaktey ..
last date 28 May
comp main 9 members ne part lya ..ab polling ka waqt aagaya hia is maah hum ne polling karne ka socha 50% polling or 50% Admins ki raye se winner decide hoga ...
Rules :
Apni sharing ko vote nahi cast karsaktey ..
last date 28 May
Hijaab
" Insaan jiss se sabse ziada mohabbat kerta hai. ALLAH usey usi ka hathun se torta hai.. Insaan ko us tootey hoey bartan ki tarah hona chahye, jis se logun ki Mohabbat aaey or baher nikal jae."
an excerpt from:" Mus'haf مصØ+Ù "
jam786
"Nimra Ahmed" kay novel"Beli Rajpootan Ki Malka"say
Jub ksi say mouhabbat ki jati hay to dil may aik qabristan bhi banaya jata hay is may apnay mehboob ki tamam khamiyan dafan kar di jati han or phir un kay kutbay nahi lagaye jatay.
Sadaf
maliha farhan
Mohabbat qudrat ki taraf wadiyat hoti hai. Jis ko aap sey mohabbat nahi hai'aap chand taray bhi tor laen to wo aap sey mohabbat kar hi nahi sakay ga.
ksi bhi insaan kay peechay pagal honay sey sirf apna nuqsan hota hai. Isi tarha jo log intaqam ki aag main jaltay hain.Wo badla lenay kay bad bhi khushi hasil nahi karsaktay. Intaqam to ksi doosray ki barbadi hota hai' yeh bhala ksi ko kkhushi kaisay dey sakta hai?
(Sans Sakin Thi......Nimra Ahmed)
Paras
Ya Allah! Mai Aapki Bandi hun or Aapke bande ki Beti hun or Apki Bandi ki beti hun. Meri Peshani Aapke Qabu mai hai, mere Haq mai aapka hukum jari hai,Aapka faisla mere bare mai Insaaf per Mubni hai. Mai aapse sawal kerti hun Aapke her us naam k waastey se jo aapne apne liye pasand kiya ya apni kitaab mai utara , ya apni makhlooq mai se kisi ko sikhaya ya apne Ilme Ghaib mai se aapne usko ikhtiyaar ker rakha hai, is baat ko k aap Quran Azeem ko Mere Dil ki Bahaar or meri Aankhun ka Noor bnadain or Mere Fiker or Ghum ko le jane ka Zarya Banadain "
Mashaf by Nimra Ahmed, July- 2011- Khawateen Digest)
Cute Ruba
"Or bhalai or burai baraber nahi hosakteen so (burai ko) is tariqe se door karo jo behtareen ho , phir daftan vo shaks jiske or tumhare darmiyan adawat hai yun hojaega goya tumhara Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ho"
usne uchambhe se in Ayaat ko dekha' kya ab bhi koi umeed thi k vo shakhs uska Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ban sakta hai?
Raniii
Aur ye kitaab.. ye aapko aapka Mazi, haal or mustaqbil kese dikhati hai ?"
" Isme sab likha hai, guzre vaqiat aur vo jo mere sath pesh aney wala hai aur mujhe aese mouqey pe kiya kerna hai sab likha hai "
Mehmal ka dil zor se dharka. vo siyah faam larki usey buht ajeeb baat bta rahi thi.
.
.
" uske baad tum is kitaab ko chor nhi sakti, tumhe apni zindagi is se bandh ker hi guzarni hogi."
" aur ager mai isey chor dun to ? "
"To tum tabah hojaogi, tumhari her cheez, her muhabbat, sab tabah hojaega, isko leker tum chor nhi sakteen . ye sab itna asaan nahi
Mus'haf مصØ+Ù by Nimra Ahmed
Khawateen Digest- 2011-August
Vampire
Nimra Ahmed k Novel Sans Sakin Thi se Iqtibas
"Yaad Rakho ! Khvaaas hamesha awaam mein se nikaltay hain aur wesy hi hotay hain jesi awaam hoti hai.agar hukmraan crupt hai to qom b crupt hai aur agar qom bey imaan aur jhooti, sust aur kaahil hai to yeh tamam wasaf hukmran mein b mojood hongay. Aik qom par hamesha wesa hi sardar musalat kiya jata hai jesi woh hoti hai. Tum government ko ilzam nahi dey saktay,"
Seven Tiles
"Maa or Khuda wo hastiyan hain jin ki mouhabbat rehamat or shafqat bay hisab hoti hay
is duniya may Allah Tala kay aehakamat ki rz na farmani hoti hay
log is ki zaat manay say inkari hotay hain
magar kya woh inhay rozi daina band kar deta hay?
nahi na!kya aanaj ka qehat par jata na?nahi na!
woh apnay na farman bandon ko bhi rizq deta hay
Khuda jub bhi ksi baat ko wahzay karna chata hay
woh intehani khubsurat tashbeehat ka istemal karta karta hay
Quran may jannat wa jahanum Azab wa sawab har shay ko misaal day kar wahzay kiya gaya hay
magar jub baaat ati hay Bani Noh Insan say mouhabbat wahzay karnay ki woh foran kehata hay may 70 maon say zaida mouhabbat karnay wala hon
Allah ksi or ki misal deta shahor ki mouhabbat bhai ki mouhabbat behan ki mouhabbat bewi ki mouhabbat doston qarabat daron ki mouhabbat say apna mawazna karta magar nahi is nay maa ki misal di kun kay duniya may sub say zaida bay gurz bay loss or qable aitebar mouhabbat Maa ki hay"
"Saans Sakin Thi" By Nimra Ahmed
voted
WALAIKUM ASSALAM
voted,,,,,,,
Hum kya hain
Hmari Muhabatayn kya hain
kya chahtay hain
kya patay hain..
-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)
Walaikum Assalam
voted
Voted...
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!