kashkool
zindagi ki sanglakh musafateen tay kartay huee
apnay masseha say piyar ki bheek mangti hai
magar har bar us ka kashkool khali rehta hai
woh jab bhi us rastay pay aya us nay apnay piyar ki
bheek mangi magar woh raheen taktee rahi
woh to ak awara bhanwra tha ak azad mosam
jo kabhi kisi ka na hoosaki us ko piyari thi apni azadi
woh to phool phool madlata raha
ak din thak kar larki nay apna kashkool toor diya
us nay mangi khuda say yeh dua doobara na is hal mai muj ko lana
waqt nay palta khaya ak bhikari larki kay peechay kashkool liay aya
kaha mujhay apna piayr bheek mai day day mai ab bohat badal chuka hon
teray liay mai sub choor aya buss yeh kashkool sath laya
waqt ki andhi nay usay kiya say kiya kiya jo tha shah us ko kada bana diya
lakrki nay dheemay say kaha jaooo baba maff karo mery pass ab kuch nahi
mai apna sub kuch us ko day chuki hon jo mera hogaya hai.