AB BHI TERI AAHAT PER
ZAKHM muskerate hian, ab bhi teri aahat par
Dard bhool jate hian , ab bhi teri aahat par
Shabnami sitaroun main phool khelne lagte hain
Chand muskerate hain , abbhi teri aahat par
Umr kaat di lekin bechpana nahin jata
Hum diye jalaate hain, ab bhi teri aahat par
Ghantiya si bajti hain raqas hone lagta hai
Dard jagmagaate hain, abbhi teri aahat par
Teri yad aaye to neend jati rehti hia
Khawab toot jate hain, abbhi teri aahat par
Jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko
Hum khushi manate hain, abbhi teri aahat par
Ab bhi teri aht par chand muskurata hai
Khawab gungunate hain, ab bhi teri aahat par
Tere hajir main hum par ek azaab taari hia
Chonk chonk jate hian, ab bhi teri aahat par
Dastakain sajaane ke manzar nahin rehte
Raaste sajate hain, ab bhi teri aahat par
Ab bhi teri aahat par aass laot ati hai
Hum diye jalate hian, abbhi teri aahat par.