Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya

ham ko iss gardish e daura'n ne kahee'n ka na rakha
phir bhi apne ko shikasta kabhi hone na diya

mai-kaday mai barhe kam zarf thai peenay walay
aankh ko saagar o meena kabhi hone na diya

kitna aasan tha apnay se juda ho jana
ishq mai zehen ka sauda kabhi hone na diya

roz jalna hai isay roz jalana hai isay
aatish e shauq ko thhanda kabhi hone na diya

umr rishto'n k taqazon ko nibha bhi na saki
zindagi ne mujhay apna kabhi hone na diya

sab se mehfooz maqaam, gham e tanhai hai
fikr e dunya ne akaila kabhi hone na diya