-
Ghazal: Rukh se perda jo hataao to ghazal ho jaaye
Rukh se perda jo hataao to ghazal ho jaaye,
Aankhon se aankh milaao to ghazal ho jaaye.
Door rahne se koyii baat nahin banti hai
Paas jara aao to ghazal ho jaaye.
Neechi nazren kiye baitha na karo mahfil main
Teere nazron ke chalaao to ghazal ho jaaye.
Poonch ker haal hamara kabhi pal ruk ker
Daastan apni sunaao to ghazal ho jaaye.
Aankhon he aankhon main ek raah banaker dilber
'Faiz' ke dil main samaao to ghazal ho jaaye.
Last edited by R. M. Dixit; 06-06-2012 at 09:33 AM.
-
Re: Ghazal: Rukh se perda jo hataao to ghazal ho jaaye
MAY OUR COUNTRY PROGRESS IN EVERYWHERE AND IN EVERYTHING SO THAT THE WHOLE WORLD SHOULD HAVE PROUD ON US
PAKISTAN ZINDABAD
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules