nice
Kabhi maar ke jilaya to kabhi jila ke maara
Game zindgi ne mujhko koi kam diya sahara.
Mere dil main derde ulfet lab pe aaho naale
Mere chashmeter se jaari hai sirshke gam ka dhara.
Meri bekasi na pooncho meri bebasi na dekho
Meri dil ki dherkanen hain meri zisht ka sahara.
Na tabeeb ke ye jurret na maseeh kii ye himmat
Use kya jilaaye koi jise tere gam ne maara.
Koi unhee se poonche game ishq ki haqiqat
Ki jahaan gaya jahan main na mila kahin sahara.
Last edited by R. M. Dixit; 11-06-2012 at 08:55 AM.
Shukriya Tavajjo dene ka.