Jab jise kahte hain armaanon ka poora hona
mere nazdeek yahi maut hai armaanon ki.
Her taref chaagaye armaane muhabbat banker
mujhse achhi rahi kismat mere afsanon ki.
Kya baraber ka muhabbat main aser hota hai
dil udher hota hai zaalim udher hota hai.
Dil to dil se yuon milaya ki rakhaa na gaya
ab nazer ke liye kya hukme nazer hota hai.
Kaun dekhe use betaabe muhabbet -e -dil
too wo naale he na ker jinse aser hota hai.