uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
Yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hai yun hai
Tum muhabbat mein kahan sood O zyaan le aaye
Ishq ka naam khirad hai na junoon hai, yun hai
Jaise koi ho dar E dil pe sitaadaa kab se
Aik saayaa na daroon hai na baroon hai, yun hai
Ab tum aaye ho meri jaan! tamasha karne
Ab to darya mein talatum na sukun hai, yun hai
Tu ne dekhi hi nahi dasht E wafaa ki tasveer
Nok E har khaar pe ek qatra E khoon hai, yun hai
Naaseha! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaata hai, yun hai, yun hai
Shaairi taza zamaanon ki hai me’maar Faraz
Yeh bhi ik silisila E “Kun Fa YakuN” hai, yun hai