usay kehna
meri har ik sehar k dar pe
shab k matmi saye kharay hen
mere soraj ki kirnoN per
andhairay raj kerte hen
Usay kehna
k us ko dhoundnay ki zid me
aashaifta sari me chandni ne
sar hi phora hai
usay kehna
zamanay kitnay beetay hen
magar us sham ki wehshat
musalsal hi musalsal hai
lahu me doubti aur siskian leti hui
usay kena k dil k zard aur maghmoom khandar me
meri har aas aur umeed k
jaltay hue jismoN ki thandi rakh urti hai
usay kehna
k us k hijr me
me ne hamisha apni ankhoN ko nichora hai
guzartay waqt k be-reham
khooni kargasi panjoN ne
meri rouh ko bhanbora hai...