Jahan wehshtain hon idher udher, jahan nafraton ke sehaab hon
Wahan saans lain bhi to kis tarah? Jahan chahton pe azaab hon

Jinhain daikh ker meri zindagi ka her aik baab ho surkhuro
Aey mere Khuda meri aankh main kabhi is tarah ke bhi khvaab hon

Tu chale ager to ye kaainaat simat ke teri nazr bane
Tu ruke jahan faqat aik pal wahan hairaton ke shahab hon

Teri baat jesse ravaan ragon main nayii ruton ke hon zaaiqe
Tere lafz jesse goher liye kayii seepiyaan tah e aab hon

Teri chah se meri dhaRkanon main ajab savaal dhaRak uthain
Teri chasm e must main ja baja unhi dhaRkanon ke javaab hon

Tere khaal o khad se mile mujhe mere apne hone ka hosla
Tujhe soch ker main likhun ager to tamaam lafz gulaab hon

Koyii aaisa khita e sirzamin , meri bastiyon main na ho kahin
Jahan her qadam ho azaab e jaan , jahan lamha lamha saraab hon

Tujhe kho ke gardish e roz o shab main khaRa hun kesse waqaar se
Muhe mut pukaar mere sajan , meri mehnatain na kharaab hon