Insan Ki zindagi mein mukhtalif marahel aate rehte hain, Kabhi khushi kabhi ghum ,kabhi pereshaani kabhi khush haali.
In tamam marahel se bakhoobi guzarne ke liye zaroori hai ke woh doosron per
aitmaad kare aur un ke saath hum dardi –o- tawun ka rawaya apnaye kiun ke kabhi bhi tanha insaan tamam mushkilaat aur pereshaanio kaa muqabila nahin ker sakta , aksar sakht tareen haalaat mein apne kareebi aziz –o- akaarib bhi saath chor jaate hain , un lamhaat mein humein purkhuloos aur Baawafa dost ki zaroorat mehsoos hoti hai .
Mashoor Kol hai ke “ Baawafa dost who hai jo musibat mein kaam aaye “ Dosti hai kiya ?? Bazaher 5 Lafzon per mushtamil hai ,lekin iss ke means both wasi hain. Yeh Woh rishta hai jo sirf Jazbaat –o- ehsasaat ki binaa per qaim kiyaa jaata hai . Hazrat Ali (REH) kaa ne farmaya hai “ Dosti eik Khud peda kerda rishta hai “ dosti her kisi se ho sakti hai koi kisi kitaab se dosti kerta hai , koi podon(Plants) yaa Phoolon se , Koi computer yaa internet se aur koi mukhlis insaano se . In sab Mein Kamyaab tareen shaks woh hota hai jise koi sacha, mukhlis, Baawafa , aur beloos mohabat kerne waala dost mile ..
Hakeem Luqmaan Ne kaha hai ke “ her shaks sacha dost talaash kerta hai” , Magar khud “ sacha dost ban’ne ki zehmat gawara nahin kerta “ iss liye nojawano ko chahye ke who khud apne ander ache dost kii sifaat Peda Karein , kiun ke jab hum khud ache honge toh phir humein dost milne mushkil nahin hogi . Rajar Bekin kehta hai ke “ her sacha dost mushkil se miltaa hai , Magar eik aisa aadmi zaroor hasil kerna chaye jo jazbaat ko sunta rahe”. Dost banane ke baad uss per bharosaa kerna boht hi zaroori hai. Iss liye kaha jaata hai ke jab kisi ko dost banao toh apne dil mein eik Qabrustaan banalo jis mein uss ki burayon ko dafan kerte jao .
Feesa Gouras kaa Qoul hai ke “ agar tumhare dost aise hain jo tumhari galat taareeef ke bajae tumhari galtiyon se Aagah kerte hain to tum aqal mand , tum ne ache doston kaa intheekhaab kiya hai “