Results 1 to 6 of 6

Thread: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    salam

    Pichley month ki tarah is bar bhi yaha Iqtbaas share kerna hy Dosti kay mozu per ho.....

    Rules :

    21 Nov ko thread close ho jaye ga or phir polling ho gi.
    Aik member aik hi Paragraph share ker sakta hy.
    Sirf Urdu Paragraph He Share Kiye Jaye Gai.


    hope k achay achay iqtbaas perhny ko milay gay ...Aap ki posts ka intzaar rhay ga...

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,946
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Re: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    ahaan ok theek hai

    thanks will share it soon

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    Insan Ki zindagi mein mukhtalif marahel aate rehte hain, Kabhi khushi kabhi ghum ,kabhi pereshaani kabhi khush haali.

    In tamam marahel se bakhoobi guzarne ke liye zaroori hai ke woh doosron per
    aitmaad kare aur un ke saath hum dardi –o- tawun ka rawaya apnaye kiun ke kabhi bhi tanha insaan tamam mushkilaat aur pereshaanio kaa muqabila nahin ker sakta , aksar sakht tareen haalaat mein apne kareebi aziz –o- akaarib bhi saath chor jaate hain , un lamhaat mein humein purkhuloos aur Baawafa dost ki zaroorat mehsoos hoti hai .

    Mashoor Kol hai ke “ Baawafa dost who hai jo musibat mein kaam aaye “ Dosti hai kiya ?? Bazaher 5 Lafzon per mushtamil hai ,lekin iss ke means both wasi hain. Yeh Woh rishta hai jo sirf Jazbaat –o- ehsasaat ki binaa per qaim kiyaa jaata hai . Hazrat Ali (REH) kaa ne farmaya hai “ Dosti eik Khud peda kerda rishta hai “ dosti her kisi se ho sakti hai koi kisi kitaab se dosti kerta hai , koi podon(Plants) yaa Phoolon se , Koi computer yaa internet se aur koi mukhlis insaano se . In sab Mein Kamyaab tareen shaks woh hota hai jise koi sacha, mukhlis, Baawafa , aur beloos mohabat kerne waala dost mile ..

    Hakeem Luqmaan Ne kaha hai ke “ her shaks sacha dost talaash kerta hai” , Magar khud “ sacha dost ban’ne ki zehmat gawara nahin kerta “ iss liye nojawano ko chahye ke who khud apne ander ache dost kii sifaat Peda Karein , kiun ke jab hum khud ache honge toh phir humein dost milne mushkil nahin hogi . Rajar Bekin kehta hai ke “ her sacha dost mushkil se miltaa hai , Magar eik aisa aadmi zaroor hasil kerna chaye jo jazbaat ko sunta rahe”. Dost banane ke baad uss per bharosaa kerna boht hi zaroori hai. Iss liye kaha jaata hai ke jab kisi ko dost banao toh apne dil mein eik Qabrustaan banalo jis mein uss ki burayon ko dafan kerte jao .

    Feesa Gouras kaa Qoul hai ke “ agar tumhare dost aise hain jo tumhari galat taareeef ke bajae tumhari galtiyon se Aagah kerte hain to tum aqal mand , tum ne ache doston kaa intheekhaab kiya hai “

  4. #4
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    "Dost"

    Kaho to Do Lfz Nibaho To Zindagi......Dosti ka Rishta To Allah Ka paida KRda hai....Dost To Pakizgi Ki Surat Hote hain...Dost To Jism Ki Rooh Hote hain....Dost To Dhoop main chahon HOte hain...DostI ka Rishta Jitna MAzboot hota hai Utna NAzuk B....Khete hain Na Dosti krna Asan hai PEr Nibhana Mushkil...Dosti dekhni Ho To HAzrat Abu Babak(R.Z) ki dekho....Dosti Dekhni Ho To HAzrat Umar FArooq(R.Z) ki dekhi....Dosti Nibhani Ho To HAzrat Abu Bakar (R.Z) jaisi nibhao...Dosti HEr sheh Main Khushiyan Bhekair Deti hai...Andhere main ujala kr deti hai.....BS Dost SE Zindagi Hai Dost NAhi To ZIndagi B Kuch nahi.....
    2112kjd - Urdu Adab competition of the Month Nov 08​

  5. #5
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Karachi
    Age
    35
    Posts
    32,906
    Mentioned
    46 Post(s)
    Tagged
    5939 Thread(s)
    Rep Power
    21474885

    Default Re: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    Dosti Ki zameen To HAri bhari honi chahiye na Per Hari bhari hone k liye Use PAni ki zaroort hogi or Dosti main pani,Yakeen Aitmaad ka Ho To Khoob Phole Phale Gi.....Dosti To Eik dhage k 2 sirey hain agar Eik sira b Choot gaya to Dosti Kya Reh jaye Gi....Dosti to insaan ko amar kr deti hai....Dosti Insaan Ko Zarkhaiz kr deti hai.....Dosti Wafa ki chadar hai jo Aitmaad k dhagoon se Buni gayi hai......Al arz Dosti se insaan pehhana jata hai...

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Adab competition of the Month Nov 08

    closed

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •