Ta’zeer-E-ehtimaam-E-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya
Daikhay jo khadd-O-khaal to socha hai baarhaa
Sehra ki chaaNdni ko badan kaun day gaya
Meri jabeeN ki saari lakeeraiN teri ataa
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya
Teray hunar mai khilwat-E-khushboo sahi magar
KaantoN ko umr bhar ki chubhan kaun day gaya
Jungal say poochti haiN hawaaoN ki barhami
Jugnoo ko tairgi mai kiran kaun day gaya
Kis ne basaaye aaNkh mai ashkoN kay qaaflay
Be-ghar musaafiroN ko watan kaun day gaya
Tujh say to khair pal ki musaafat ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya
ToRa hai kis nay nok-E-sinaaN par sakoot-E-sabr
Lab bastagi ko taab-E-sukhan kaun day gaya
‘Mohsin’ wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh fun kaun day gaya