theek thak, tum sunayo?
yaar abhi ziada likhnay aur souchnay ka mood nahi ho raha
phir sahi
Salam dosto tay dostaniyo...
kaisay hain sab?
jesay keh ap sab jantay hain keh hum SD per Friendship month cele ker rahay hain tu ais topic main ap apnay frnds ko kuch dedi ker saktay hain...kuch hamare saath frnds k saath beetay din kuch yaadien b share karien..apnay frnds k baray main bataien..kab say dosti hai yeh b bataien...jo b ap nay frnds say kehna chahtay hain wo kahien.....
bas mazay karien..
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
theek thak, tum sunayo?
yaar abhi ziada likhnay aur souchnay ka mood nahi ho raha
phir sahi
wsalam jee
4 Sheem
Khushi bhi doston se hai
Gam bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khvab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai
Ya yoon kahoon yaro
Apni to duniya hi doston se hai
Dedicate to All My Friends
"DOSTI mosam nahi, keh
apni muddat pori karay orr
rukhsat ho jay,
DOSTI sawan nahi, keh
toot kar barsay or
tham jae,
DOSTI aag nahi, keh
sulgy bharkey or
bujh jae,
DOSTI aftab nahi, keh
chamkey or
doob jae,
DOSTI phool nahi, keh
khiley or
phir murjha jae,
DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch
toot jae to kuch bhi nahi...........
Dedicate to All SD MEmber
Dosti kya hay kabhhi sochaa hay tum ne dosto
dosti ki rooh ko jaanaa hay tum nay dosto
Dosti kaaghaz nahin tehreer karnay kay liye
dosti manzar nahin tasweer karnay kay liye
Dosti lafzon ke soorat sey ayaan hoti nahin
dosti deewar-o-dar kay darmian hoti nahin
Dosti maidaan hay lambee masafat kay liye
dosti ik imtehan jazbon ki shiddat kay liye
Dosti ik roushni rastah dikhhanay kay liye
dosti ik raastah manzil ko janay kay liye
Dosti ik khwab hay taa'beer ki tashkeel ka
dosti ehsaas hay khud apni hi takmeel ka
AZAM sab sey dosti ka haq adaa kartay raho
rang apni shayari main is tarah bhartay raho.