Originally Posted by
Hijab
Walekam-Aslam
Aap nay tou rule diya. Such mein aisa laga raha tha jaisay aap nay meray dil ki baatein likh di hoon.
ALLAH(SWT) he tou hai jo sub kuch, sub kuch hai. Insan tou achay say achay bhi ho tou moun mour leta hai, aik baar us say sakhat-dili say paish ayen tou hamein kuch janta he nahi.
Aur hamara ALLAH(SWT) puri zindagi usay bhulaye rakhtey hein, khushi mein kabhi shukar nahi kiya aur jab museebat aati hai tou us say shikway kernay lagtey hein, apni adna si abadatein jatlanay lagtey hein, aur Woh phir bhi rehmtoon ki barshien ker deta hai. 70 mayon say ziada payara kernay wala. Kaiay Us ka shukar ada ker rahein hum.
Zain aap nay bohat he khubsurat likha hai. Aap ki her nazam, ghazal, shair aur qit behtreen hota hai bay-shak.
Lekin, yeh number one hai. Outstanding, marvelous, just superb.
MASHALLAH, SUBHANALLAH.
Jazak ALLAH.
Aur ALLAH(SWT) hum ko sirat-e-mustqeem per gamzin karey.AMEEN!