Soraj Ko Dobtay Dekh Ker
Main Ne Her Sham Ki Tarh
Phir Ankhien Band Ker Ke Usse Manga..
Iss Baat Se Bilkul Anjan
Ke Dobti Hoee Cheez
Kisi Ko Kuch Nahi De Sakti
Jo Khud Andheroo Main Doob Raha Hai
Who Mujhey Roshni Nahi De Sakta
Mager Na Jane Kyun!
Mujhey Shaam Ka Yeh Manzer Buhat Pasand Hai
Ghazal
shaam tak phirti rahi hijar main meri aankhain,
dhal gayi shaam tou phir raat se hari aankhain,
ham isi aas pe aankhon ko khula rakhtey hain,
...
lout aaye na kisi roz tumhari aankhain,
ashq sagar baney tehreer bani hai zanjeer,
jab se bichri hain teri pyaar se pyaari aankhain,
gaatey gaatey hamey ik shakhs ki yaad aati hai,
bheeg jati hain sar e bazm hamari aankhain,
janey kiya baat hai kiun dekhti rehti hain wasi,
meri aankhon ki taraf shehar ki saari aankhain....