De uTha lau jo tere saath guzaari hui shaam
Hijra e jaaN ki har ik cheez pe taari hui shaam
Pahle to mujhse meri zaat ka matlab poochha
Aur phir apne hi ehsaas se ‘aari hui shaam
Ae junooN pooch isi lamha e maujood se poochh
Lams ye kiska uThaaya hai K bhaari hui shaam
Do hi kirdar numaayaaN hain kahaani meiN meri
BekaraaN dasht hua maiN to shikaari hui shaam
MaiN naseiN kaat ke sooraj meiN utar hi jaata
Par khayaal aaya tera hijr ki maari hui shaam
Kya faqat hamse sawaalaat kiye jaayenge??
Kya faqat hamse mukhatib hai ye haari hui shaam?
Ham ne har shai meiN utarte hue dekha khud ko
Yaad aayi jo tere qurb pe waari hui shaam
Nazam
Mat Pooch Yeh Mujh Sey dOst Meray
Kyou Shaam Dhalay In AankhOun Mein
Be Naam Si Eik Udaasi Ki
GhanghOur Ghataien Rehti Hain
Kyou Be Khud Ho Kar Is Lamhay
Dhalta Hua SOoraj Takta Hon
AankhOn Mein KiSsi Ka Aks Leye
Kyou Band Kitabien Takta hOn
Mat POch Yeh Waqat Hi Aisa Hai
Mujhe Dil Par Zour Nhe Rehta
Mein Lakh Chupata hOn Lekin
AshkOun Ko Rok Nhe Sakta
ik Qarz Chukanay Ki Khatir
Yeh Kuch LamhOun Ki Chori Hai
Bus yOun Hi Smagh Ley Yaar Meray
Yeh Shaam Meri Kamzorii Hai