*Mat Pooch Yeh Mujh Sey dOst Meray
Kyou Shaam Dhalay In AankhOun Mein
Be Naam Si Eik Udaasi Ki
GhanghOur Ghataien Rehti Hain
Kyou Be Khud Ho Kar Is Lamhay
Dhalta Hua SOoraj Takta Hon
AankhOn Mein KiSsi Ka Aks Leye
Kyou Band Kitabien Takta hOn
Mat POch Yeh Waqat Hi Aisa Hai
Mujhe Dil Par Zour Nhe Rehta
Mein Lakh Chupata hOn Lekin
AshkOun Ko Rok Nhe Sakta
ik Qarz Chukanay Ki Khatir
Yeh Kuch LamhOun Ki Chori Hai
Bus yOun Hi Smagh Ley Yaar Meray
Yeh Shaam Meri Kamzorii Hai
Gahzal (bohjal bohjal sham)
Sehraa sehraa dopehrain hai.n , baadal baadal shaam
dil nagri ki raat udaasi , chanchal chanchal shaam
Daali Daali phool hai.n raqsaaN , dariya dariya mauj
titli titli naqsh hai.n rangeeN , komal komal shaam
Rang-e-JunooN dil deewaane par , deed ke pyaase nain
teri galii , terii dehleezai.n , paagal paagal shaam
Nain hai.n kis ke , yaad hai kis ki , kis ke hai.n aansoo
Kis ki aaNkho.n kaa tohfaa hai , kaajal kaajal shaam
Raat ki raani , Oas ka paani , Jugnu , Sard hawaa
Muskaati khushboo mehkaati jangal jangal shaam
Doobta sooraj , Soona rastaa , Aas ke bujhtay deep
Maayoosi ki gard me.n lipti, utri pal pal shaam
Rang sunehra dhoop saa uss kaa , gaisoo jaisay raat
chaaNd saa ujlaa ujlaa chehra , uss kaa AaNchal shaam
Khwaab me.n jab se aayaa hai wo socho.n me.n gum hoo.n
Kyaa ho jo ta'abeer bataanay aa jaaye kal shaam
:Ahmed: ko`ii nazm sunaao, kuchh tau waqt kaTay
tanhaa tanhaa dil bhi bohat hai, bojhal bojhal shaam