Originally Posted by
yawar azeem
bilal bhai , mujhey khod sab ahbab se jo seekhney ka moqa milta ha is par men un ka ehsan mand hon. Hunar koi bhi ho , nikhar peda karney k liye salon ki reyazat dakaar hoti ha. mera khod ye haal ha k misrey aur ashaar likh likh kar kat,ta rehta hon. Phir kabhi kuch waqt baad ghor karta hon to jo ashaar kuch munasib lagain , jin men mere ilm aur samajh k mutabiq zuban ki koi bari ghalti na ho , aur iblagh ho raha ho , aisey ashaar ko shamil e ghazal kar deta hon , baqaya par lakeer phair deta hon. aisa bhi hota ha k ghazal doston ko sunaai , unhain pasand bhi ayi lakin mera dil mutmain na hoa , to misrey ya porey sher men tabdili kar di. Aur agar kisi ka maswara dil ko laga to us k shukria k sath qabol kar liya. achi shairy ka muta,ala , mashq e sukhan , achey adeebon aur shairon ki sohbat , aur waqt , ye sab batain apni jagah bari ehmiat rakhti hen , is k sath sath mushairey bhi , jin se shayer ki bari tarbiat hoti ha. Is rastey men kayi log aap k raastey ki deewar bhi banain gey , ap un se uljhain na uljhain ye aap par munhasar ha , lakin aik baat tey ha k , aadmi ki pehchan us k harf se hoti ha , sirf aap ka likha hoa hi aap ko motabar bana sakta ha aur tareekh men zinda rakh sakta ha , baqi sab batain is k aagey kam hesiat rakhti hen. barey barey ohdon waley aye , paisey waley aye , pr waley aye , badshahon k chahitey aye , madari aur shobda baz aye , lakin hamari adbi tareekh gawaah ha k aisa log apna rang zyada dair nahi jama sakey. Aap bus jo thora ya zyada waqt apney faraiz porey karney k baad nikaal payen , wo is hunar ko khulos e neyyat se dain. aik baat par men yaqeen rakhta hon k sher k umda honey ki koi had nahi hoti , yani hamesha behtar se behtar banaye janey ka imkan rehta ha.
Salamat rahen.