Majaaz or Haqiqi ka sirf itna faraq hay kay jab tak mahboob dosra hay to majaz hay magar jab mahboob koi dosra nahin rahta balkay apney zaat may qaim ho jata hay to haqiqi ban jata hay.
Kai dafa majaaz he haqiqat ban jata hay or kabi haqiqi majazi ban jata hay, "Iblees" nay adam ke taraf sajda nahin kia kyun kay wo mahboob (Allah) ko dosra samajta raha jab kay baat adam ko sajda karnay ke na thee balkay Mahboob ke raza ke thee.
Kabi kabi Majaaz haqiqat ka roop dhaar laita hay or mahboob ke zaat is qadar havi ho jati hay kay apni zaat ghum ho jati hay. Har soo sirf us ke tasweer or aus ke zaat he hoti hay. Sufi iss ko fan fil sheikh , fana fil rasool or fana fil Allah kay naam say pukartay hain.
Mohabat ya ishq ko Allah nay bohat ajeeb banaya hay kabi to wo majaz may mil jata hay or kabi wo haqiqat key sorat may ayan hota hay.
May kabi kabi sochta houn kay Majaaz koi cheese hay be kay nahin? kyun kay malik Khalik be hay or Insan makhlooq mutlab kay Izhar e Sifte Bari Tallah.
Kis tarah mumkin hay kay sift mosoof say juda ho agar aisa he hay tu kya majaaz be tu haqeeqat na howa?
Agar aisa hay to phir majaaz majaaz kyun hay? shaied aisa tu nahin kay haqeeqat, masoomiat or pakizgi ka naam hay or ye he Allah or Aus kay rasool ke sifaat hain. So jab hum muhabat mein "ana" ya "lalach" ka tarka imtezaaj kar deeatay hain to wo majaaz ho jata. Majaaz yani ghair fitri or napaak.
Khair diloon kay khail be ageeb hain. "ye tu man challoon ka soda hota hay" jo apni zindgiaan mahboob kay haat beach datay hain.