Ansu Bazahir Dekhnay main to aik jesey lagtay hain lakin ansu Insani jazbaat k sahi akkaas hotay hain.
Yun Maloom hota hai k ankhain aik jazeera hai jo charon taraf se pani se ghira huwa hai.Jazbat k Uchaal chahay woh khushi ki surat main ho yaan ghum ki surat main is jazeeray se jesey hi takratay hain to is jazeeray pe pani behnay lagta hai.
Ghum pe to ana hi hota hai lakin khushi naseeb honay par b yeh namodaar hojatay hain.
Goya ansu insaan ko tanha nahi honay detay bhalay ghum ka zamana ho yaan khushi ka dour.
koi ghair mutwaqeha khushi , kisi bichray ka mil jana , had se ziyada pyar ka milna , bachon ki kamiyabi pe maan ki ankhon ka num hona , ALLAH ki bargaah main shukar ada kartay huwaye ro parhna khushi ki ansuon k namodaar honay ki chand misalain hain.
shayad khushi k ansu is liye ajatay hain k insaan ko pata nahi chalta k woh kiya karay aur aik rasta bachta hai, aur woh hota hai bazariya ansu jo k khushi k ansu kehlaye jatay hain.
Kisi ko Khush karna b to neki hai aur humain chahiye k dusron ko ghum k ansu denay ki bijaye unki ankhon main khushi k ansu banain