Barishein dekhne mai kitni piyari lagti hain jb halki halki boonda bandi start hoti hai to sakht dil b moom ban jate hain roothay log b maan jate hain khushk phool b taro taza ho jate aise lagta hai k ye sirf pani nai is mai khushiyan shamil hain jo sb ko apni lipait mai le rahi hai Bache ho ya buzrg sb is se lutf andoz hote hain gharon or bazaron mai pakore banne lag jate hain chai ka dor dora chalta hai jis ko dekho barish ki hi baatein kr raha hota hai parinde b is ki amad se chehk rahe hote hain wo b apne andaz mai is se lutf andoz hote hain janwar b is hath aye mouqe ho ganwate nai or is mai mastiyan krte hain.

Ye na ho to logon mai be sakooni aa jati hai har koi asman ki taraf rukh kr k dekhta hai k ab boondain girna shuru ho jaein gi Ye Allah ki kaisi nayab rehmat hai jis ka koi naim o badal nai Is k hone k liye log masjidon mai sajde krte hain saf bandi kr k duaein mangi jati hain Kisan ho ya Ac mai rehne wale sb is k talabgaar hain. Ye Allah ki khas naimton mai se eik hai Or Dua hai Allah se k Allah is Naimat ko Hamare Pakistan mai qaim o daim rkhe Apni rehmat k saye mai Ameen