Wah bohat khubsurat misaal se samjhaya hai
bohat hi achi tehreer likhi hai aik sabaq amoz tehreer hai
ap acha likhti hain likhti raha karaina
Akser mere zehan mein yeh sawal aata ha k hum jinhein apna bht apna bhht payara smjhtey hain kia woh hamesha aisey hi rahein gey humarey saath ??? ya koi cheez aisi hai jo humein in k saath bandhey hue hain or jab woh dor toot jaey to yeh saath yeh apna pan b wahin khatem ho jata ha ... dekhney or sun'ney mein hamesha yahi aata ha k aap jab tak kisi k ho woh aapka ha jab aap eik qadam peechhey hatao gey to woh do qadam peechey kr lein gey aisa haqeqat mein ha yeh koi afsana ya falsafa nahi ha hatta k aap k apney bhen bhai jo aapki duniya hotey hain apk walidaen jinhun ne aapko dunia di hoti hai woh b tab tak aaap k saath hain jab tak aap unk her amal mein unki her baat mein unki taeed krein ... maa eik dfa bulaey to hum her kaaam chhor kr bhagey jatey hain us waqt apni koi masrufiyat koi kaam yaad nahi rehta or agar na jaein to koi na koi zarur kah de ga k dekho iskii maa isey bula rahi hai or is ne un suni kar di us waqt dil ko kitna ajeeeb mehsus hota ha na sharmindgi hoti hai to hum foran uthh k jatey hain or muafi mangtey hain
aisey hi agar sirf eik pura din hum maa ki nafarmani krein to yakinan sham tak woh b aaap se naraz ho jati hain baat nahi krtien to dil bht dukhta ha skoon nahi milta jis orat ne aaapko janam diya is dunia mein laaney ka zariya bani hum uski zara si nafarmani nahi krte or woh Zaaat jis ne humein paida kiya jis ne bin mangey na janey kitni hi ne'emtein ata kien kaan haath nak paaun aankhein kia kuch diya hum to shumaar b nahi kar saktey woh zaaat din mein 5 dfa humein bulaey or hum ansuni kar dein azanein hoti rahein or hum apney kamoun mein uljhey rahein humein fursat hi nai hoti k hum jaein or apney Rab se baat krein hum jaein or apney Rab ko raazi krein ... kia kabhi socha k agar woh zaaat naraz ho jaey to kia hoga do haath hain na eik hath woh hum se le le to hum kisi kaaam k na rahein eik aankh le le to humari dunia hi wairaaan ho jaey lkn nahi aisa nahi hota Woh Rab Itna Raheem hai Itna Kareem ha k phir b hum se kuch nahi chheenta woh to bus apney bandoun ko ata hi krta ha or agar bhooley bisrey kabhi hum Us k saamney hazir ho jaein or eik dfa pukaarein Aey ALLAH to woh Rab humara 3 dfa jawab deta ha Bol mere bandey bol mere bandey Bol mere bandey .... SubhanALLAH ... kia hi shaan ha or kia hi muhabbat ka ala muqaam ha ...
kia aapka koi behen bhai koi dost ya aaapki azeez tareen hasti maa hi aaapki bus eik din ki nafarmani pr sham ko itney payar se jawab de gi ??? kia woh aapko payar se khana de gi nahi kabhi nahi ...
Woh Rab hi hai jo apney bandoun pr itna mehrban hai or Hum Gunnahgaar usk 5 waqt bulaney pr b usk samney hazir nahi hotey Boss ko khush krne k liye 12 ghantey nokri krein gey dostoun ko khush krne k liye parties krein gey lkn Us Rab ko jis ne kia kuch bin maangey ata kiya usko eik sajda krne mein b hum laakh susti or lakh kotahyan krte hain ....
ALLAH hum sab ko Hidaeyt dein or humein shuker krne ki tofeeq ata farmaein Ameeen ALLAH humma Ameen
Wah bohat khubsurat misaal se samjhaya hai
bohat hi achi tehreer likhi hai aik sabaq amoz tehreer hai
ap acha likhti hain likhti raha karaina
Walaikum Assalam
Mashaa Allah bohat achi tehreer hai umda likha hai behtareen misalen Allah Subhan Wa Taala hamen seedhay rastay per gamzan karay aur neki kay rastay per chalaen Ameen
Well done
wah Pakeeza Urf Jasmine kia bhatreen thareer hay imprssive thereer hay seriously
or bohat hi umda app nay misal bhi di
Or Ji Allah say bara mehrbaan koun ho sakta hay ALlah kay baad Maa phir baap
or ye bhi sahi kay app nay kuch kaha to foren jawab bhi us say ziyada rude mil jata hay
JAzak Allah
Or likhye ga pakeeza Itna accha likhtien hain app mujhy to ab pata laga hay
رومن میں پڑھنا بÛت مشکل ÛÛ’Û” اگر ÛŒÛ Ø³Ø¨ ارو میں ٹائپ کر لیتے تو کیا اچھا Ù†Ûیں تھا۔