Zindagi Yun Thi Ke Jeene Ka Bahana Tu Tha
Hum Faqat Zaib-E-Hikayat The, Fasana Tu Tha


Hum Ne Jis Jis Ko Bhi Chaha Tere Hijran Mein, Woh Log
Aate Jaate Huye Mausam The, Zamana Tu Tha


Ab Ke Kuch Dil Hi Na Maana Ke Palat Kar Aate
Warna Hum Dar-Ba-Daron Ka To Thikana Tu Tha


Yaar Aghayaar Ke Haathon Mein Kamanein Thi ‘Faraz’
Aur Sab Dekh Rahe The Ke Nishana Tu Tha