"kuch batain zehan main arahi hain koshish kar rahi hoon k likh sakon
zehan khiyalon main uljha sa hua hai. main soch rahi thi k Ramadan araha hai
Masjidain abaad ho jayengi har taraf musalman ibadaat main masroof hojayengay
muashray main Islam ki fiza paida ho jayegi.
par jesay hi ramdan chala jayega log phir se wohi kaam shrow kardaingay
Islam se duri paida kartay jayengay.
akhir aisa kiyun hai main pankhay ko dekh rahi thi to achanak zehan main aik
baat i k shaitan band kardiya jata hai ramadan main shaitaan k asraat khatam
hotay jatay hain jesey pankha ahista ahista band hota hai wesey hi insaan ahista ahista neki ki rah
pe mukamil tor pe araha hota hai
par jesey hi ramadan khatam hojata hai aur shaitaan azaad hojata hai to insaan phir se usk waswason ka shikaar hojata hai aur yeh pankha jo k ruk raha tha phir se tez chalna shrow hojata hai.
humain shaitan k warghilanay ki taraf nahi jana chahiye balkay aam dino ko b ramzan ki tarha hi guzarna chahiye
ta k duniya k sath sath humari akhirat b sanwar jaye
ALLAH humain hidayat naseeb farmaye ameen suma ameen "