Zubaan akhir kiya hai aik aisa jism ka hissa jo behad narm hai
jis main haddi b nahi hai jahan chahain guma lain oper nechay dayen bayen.
zuban ka narm hona is baat ki daleel hai k hum ko dusron k sath shaista andaz se bolna chahiye.
Gussa aye to pi jana chahiye aur zuban ko kabu main rakhna chahiye.
jab insaan bolta hai to uski shakhsiyat ka pata chalta hai.
Hazrat Ali ka qol hai mafhoom hai k , "jis insaan ki aqal mukammil hojati hai uski guftago mukhtasir hojati hai."
humari zuban hi hai jis se hum kisi k dil main ghar kar letay hain aur kisi k liye nafrat ki wajah ban jatay hain
Talwaar se lagaye huwaye zakham to bhar jatay hain par jo zakham yeh zubaan lagati hai
woh kabi nahi barhtay .
humain chahiye k hum apni zuban se kabi galat biyaani na karain kabi kisi ka dil na dukhayen.
bal k jab baat karain to mohabbat shamil ho aur ALLAH ki is nemat ka jesa k hukam hai wesa hi istemaal karain aur ALLAH ka shukar ada karain k US ZAAT ne hum ko is nemat se nawaz hua hai.