Asalamoalaikum

Sachii Dosti kiya hoti hai. dosti aik aisa jazba hai jis main har aik cheez ajati hai misaal k tor par mohabbat, izzat, yaqeen, bharosa,
jab aik insaan kisi insaan se dosti karta hai to woh us pe bharossa kar raha hota hai aur usko apna saaya samajh raha hota hai.
Dosti aik aisa khatta meetha jazba hai jis main takraar b payi jati hai. par yeh takraar rishtay ko khatam karnay k liye nahi balk usko aur mazboot karnay k liye hoti hai. roothna manaana , khailna koodna, hansi mazaak karna yeh sab dosti k zumray main ajata hai.
muje yeh sab cheezai apnay SD main nazar ati hain. yahan k members itnay achay hain k har koi hosla afzayi kar raha hota hai. hansi mazaak b kiya jata hai aur usko musbat tareeqay main liya jata hai. roothna aur manana b chalta hai.
SD ka mahool itna dostana hai k insaan yahan aa k khud ko tanha mehsus nahi karta .. SD aik aisi duniya hai jahan insaan aa k yahin ka ho k reh jata hai ... muje khushi hai k main is duniya ka aik fard hoon .. ALLAH Pak SD ko hamesha adaab rakhay ... Har su taraqiyaan ata farmaye yahan k members ko aisa hi pyara rakhay ameen sum ameen ...
Long Live SD