Sakht Sardi hai maan
Aisi sardi k haddion ka gooda bhi ab barf ban'nay ko hai
Mitti or barf ka malba orhay huey
hum kaee roz se so rahay hain yahan
sara kuch hai mayassar yahan per humein
gar nahin hai to bus roshni aur hawa

maan ji! lekin meri fikr mat kijye
barf k neechay iss munjamid ghar mein bhi,main akela nahin
mera salar bhi merey pehloo mein hai
merey sub yar bhi merey pehloo mein hain
ye azal se hamari rivayat rahi
hum ikathay jiye or maray
fikr mat kijye
ap k pyar ki narm hiddat mujhe mil rahi hai yahan bhi
meri paishani pr sabt hain aj bhi
ap k garm boson k nishan
munjamid barf mein ap ka lams,goya asasa mera
hum bohot khush hain maan
fikr mat kijye

Aik din barf ka seena pharren gay hum
aur phoolon ki soorat nikal aaen gay
Khubu'on se basaen gay sehn e chaman
aur Roshan Rakhen gay Jabeen e Watan


by:Lt colonal Khalid Mustafa